Jinnah University for Women k Anwar Sultana Auditorium may 31st October 2011 ko Shuba-e-Iblag-e-aama ki Taalibat ki janib say nojavano ko malomat ki frahmi k liye “Youthenasia” k naam say aik seminar ka ineqad kiya gaya.Is seminar may nojavano may khud aetamadi barhany k liye mashor-o-maroof shakhsiyat ko dawat di gayi take wo apne tajurbat aur waaqiyat taalibat say share kr saken.Seminar may Director of Finance DLI Ahmed Siddiqui, Sports women Fatima Batool, Anchor Faisal Qureshi, Actor Shagufta Ejaz, Director ARY News aur ARY One World Mazhar Abbas, First Women Journalist of Pakistan Shahida Qazi, Assistant Professor Dow University of Health Sciences Farhan Essa, Cricketer Sikandar Bakht aur VJ aur Actor Ali Safina ne shirkat ki.
Seminar ko 6mukhtalif hisson may taqseem kiya gaya tha jis may Naye mustaqbil ki taamir ki umeed, Business, Qayadat, Sahafat, Science aur khail-o-tafreeh shamil thay.Seminar k aakhir may students ne aik documentry film paish ki jis may mulk k halat-o-waqiyat aur dehshat gardi ko ujagar kiya gaya aur un say kesay nimta jaye k manazir paish kiye.Ye Seminar nojawano k liye aik mishal-e-raah sabit hoa.
Agenda of this Seminar:
You are the change...
"We can not always build the future for the youth but we can build our youth for the future"
Agenda of this Seminar:
You are the change...
"We can not always build the future for the youth but we can build our youth for the future"

No comments:
Post a Comment